Friday 9 December 2011

Abhibyakti kee azadi banam behisab political parties......Jai Bharat

Hello friends.......................................Jai Bharat
Loktantra/Abibyakti kee azadi/Political parties

Loktantra mein sabko apni bat kahney/dharm manney/party bananey
ka adhikar deta hain.
Lekin pichhaley 15 barso ka itihas gawah hai kee kis tarah regional
partiya/chhotey chhotey dal/apni shart par ek Bahumat wali sarkar
ko jhukney ko mazboor kar deti hain. Desh/Rastra ka koi mahtwa
unke liye hota hee nahi.
Sarkar chalaney ke liye Sansado kee kharid/fund provide karna/labh
ka post hasil karna/support ke nam par purey kunbey ko minister banana/
apni sharto par sarkar chalana he sarkar ka kam rah jata hai.
Desh ke liye sochaney ka waqt mil hee nahi pata. Kya hamare Desh ka
NIRWACHAN Ayog  is disha mein kabhi bichar kiya. Aaz kee paristhity
mein is desh mein Janhit mein koi bhi Sarkar Janta ke liye kuch bhi nahi kar sakti hain.
Kyo kee  Bahumat LOKTANTRA kee dhuri hai.
Agar ham chahtey hain kee hamara LOKTANTRA jinda rahey to
Is Desh mein three party system apnana hoga.....Kyo kee jitna jyada party
utny jyada bhrastachar/Dal-badal/mol bhao/black mailing/strike  jhelna
padhega .
Jara sochiye to.............................................Haldar............Jai Bharat

No comments:

Post a Comment